Monday, April 6, 2009

mere sath chal sako na agar,

duur dil se hona nahi .

paaya he ek farishta tujme ,

jise ab jivan bhar khona nahi.

muskurana mujhe yaad karke yu,

mere aks ko ashko me bhigona nahi .

tere kaanthe ko khojungi har mitr me ,

teri god sa mulaayam ...

koi bichchuana nahi.

kismat ne haqiqat bana kar ..

bhejaa he mere ru-ba-ru

tu kisi raat ka sapna salona nahi ..

mere saath chal..

Sunday, April 5, 2009

dosti ki kavita , ye zindagi nahi
pyaar ki koi daastan, kabhi bani hi nahi
matlabi ho gae hum bhi yuhi
par jab bhi paaya to paaya yahi
paana jo chaha ,
wo paaya nahi
mila jo mujhe use saraaha nahi
kabhi akele baithe to tanhaai yu mili
akeli si raat ko jaise ,
mil gaya ho chaand koi
mai kis nashe me hu ye sochti rahi
fir is raat ki subah ko khoojne chali

kaisa hoga safar zindagi ka

kya fir koi mil paegaa ,haath dosti ka

khadi houngi jab bhi dorahe par

saath kya paa sakungi mai yu sabhi ka

kismat me shaayad fool na bichche ho raahon me

par kuch shakhs to saaf karenge

kaanton bhara koi raasta

wo raahgir ho , ya ho humsafar

fir se naya safar hoga ,naya sa hoga koi raasta

bhatakna to naseeb hai iska ..

dil hai jaise ek banjaara

ghoomte rahenge maut aane tak yuhi

thamtaa nahi he . jivan ka ye kaarvan

tuti hui kuchch lakeeren kaise
zindagi meri badal sakti he
kismat yu khwaabo ko mere
khaak nahi kar sakti he